Milkar Chale Gaye Par, Yaadein Chhod Gaye Ho TUM...
Tanhayee Ki Baat Nahi Bas, Yeh Dil Tod Gaye Ho TUM...
Is Jahan Me Dil Ke Kareeb Kisi Aur Ko Na Paaya Hai...
Tu Aur Sirf TU HI Is Dil Me Samaya Hai...
Sach Kahu To Mere Har Raaste Ko Mod Gaye Ho TUM...
Milkar Chale Gaye Par Yaadein Chhod Gaye Ho TUM...
Khauf Nahi Mujhe Kisi Ka Bas, Jata Hu Darr Jisse Wo Mera Hi Saaya Hai...
Khush To Dikhta Hu Par, Har Gam Ko Maine Dabaya Hai...
Tanha Nahi Kiye Mujhe Bas, Meri Zindagi Ko Hillod Gaye Ho TUM...
Milkar Chale Gaye Par Yaadein Chhod Gaye Ho TUM...
Tanhayee Ki Baat Nahi Bas, Yeh Dil Tod Gaye Ho TUM...
Written By - Avinash Verma Kannaujiya